faroġh-e-husn meñ kyā be-sabāt dil kā vajūd
vo āftāb ye shabnam vo aag ye bārūd
zahe madārij-o-irfān-o-lutf-e-bazm-e-shuhūd
hamīñ haiñ abd hamīñ abadiyat hamīñ ma.abūd
vo baar baar mohabbat se zikr-e-ḳhair kareñ
shahīd-e-ġham kī yahī fātiha yahī hai darūd
savād-e-shām-e-mohabbat hai dūd-e-be-ātish
tulū-e-sub.h-e-tamannā hai ātish-e-be-dūd
ba-lutf-o-aish-o-nishāt-e-jahāñ mashū nāzāñ
darīñ sarā-e-adam āshnā che-hast va che-būd
nigāh-e-nāz ke jauhar ye paa.e kyā mumkin
fuġhāñ bhī teġh hai lekin hai teġh-e-zañg-ālūd
uThī ghaTā kī tarah chhā ga.ī fazā kī tarah
hudūd-e-husn meñ tāsīr-e-ishq-e-nā-mahdūd
ḳhudā ke jalva-e-qudrat kā pūchhnā kyā hai
jidhar jidhar nazar uTThī udhar udhar maujūd
tarīq-e-ishq meñ kyuuñ bār-e-ġham uThā.e na dil
isī pahāḌ ke nīche hai manzil-e-maqsūd
tule haiñ phir mah-o-anjum mujhe satāne par
dil-e-hazīñ vahī ik nāla-e-falak-paimūd
ġhazab huā ki muqaddar mujhe vahāñ laayā
jahāñ sukūn bhī nāpaid lutf bhī mafqūd
rahā ye apnī hayāt-o-mamāt kā aalam
kabhī vajūd adam thā kabhī adam thā vajūd
nigāh-e-nāz meñ dil kā kuchh eqtidār nahīñ
agar abhī hai ye maqbūl to abhī mardūd
havās-o-hosh farishtoñ ke jis se rah na sakeñ
fazā meñ guuñj rahā hai vo naġhma-e-dā.ūd
baḌhā.e vādī-e-hasrat meñ kyā qadam koī
ki ḳhizr-e-rāh bhī gum aur raah bhī masdūd
faroġh-e-husn taġhayyur-pasand kuchh bhī nahīñ
ziyā-e-kirmak-e-shab-tāb kī hai koī numūd
yahāñ adā-e-farā.ez kī sūrateñ haiñ judā
namāz-e-ishq meñ vājib nahīñ rukū-o-sujūd
payām-e-marg bhī pahuñchā naved-e-zīst ke saath
jo ittifāq se amrit milā to zahr-ālūd
vafā-o-ishq kī dushvāriyāñ ḳhudā kī panāh
ajab ajab haiñ sharā.it ajab ajab haiñ quyūd
tasarrufāt-e-mohabbat ke sab karishme haiñ
nahīñ to kyuuñ ho tasadduq ayaaz par mahmūd
adam se aa.e the ham aur phir adam ko ga.e
ye hai haqīqat-e-qabl-az-vajūd-o-ba.ad-e-vajūd
tirā qalaq bhī tirā dard bhī tirā ġham bhī
hamāre ishq ke itne gavāh haiñ maujūd
ḳhudā kare ki na da.avā kareñ ḳhudā.ī kā
sunā to hogā butoñ ne natīja-e-namrūd
bashar ko quvvat-e-ehsās ne ḳharāb kiyā
jo ye na ho to jahāñ meñ na phir ziyāñ hai na suud
rah-e-talab meñ qadam Dagmagā.e jaate haiñ
sambhāl yā mire allāh yā mire ma.abūd
nigāh kard zi-qahr-o-itāb fitna-gare
ba-īñ tavaqquf-e-andak havās-o-hosh-e-rabūd
jamāl-e-shāhid-e-mutlaq se jis ko matlab hai
vo dil sa.iid nazar as.ad aarzū mas.ūd
janāb-e-'nūh' ko tūfān-e-ġham se ḳhauf nahīñ
ki iḳhtiyār meñ un ke hai kashtī-e-maqsūd