ye samāñ ye lutf ye dil-chasp manzar dekh kar
ho ga.e be-ghar hazāroñ aap kā ghar dekh kar
is taraf dil dekh kar aur us taraf sar dekh kar
paañv rakhnā chāhiye tum ko zamīñ par dekh kar
chain kyuuñ aane lagā jalvoñ ko dam bhar dekh kar
pahle dekhūñgā unheñ phir hūñgā muztar dekh kar
kah gayā vo mere ujḌe ghar kā manzar dekh kar
ḳhaak patthar shaad huuñ maiñ ḳhaak patthar dekh kar
allāh allāh is qadar tāsīr-e-saudā-e-bahār
dil kī ik ik rag phaḌak uThtī hai nashtar dekh kar
har ghaḌī mujh ko rahī sūrat parastī hī kī dhun
maiñ huā betāb aksar sun kar aksar dekh kar
hasrat-e-nazzāra mahshar meñ hameñ laa.ī to hai
kyā hamārā haal hogā un ko din bhar dekh kar
qatl kī ab kyā zarūrat ham to yuuñ hī mar ga.e
un ke nāzuk haath meñ chhoTā sā ḳhanjar dekh kar
jo duā dete the jiine kī mujhe vo dost bhī
uTh ga.e bālīñ se merā haal abtar dekh kar
qasd thā ho kar palaT ā.eñge ab Talte nahīñ
paañv phailāne lage ham kū-e-dilbar dekh kar
dil unheñ deñge magar ham deñge in shartoñ ke saath
aazmā kar jāñch kar sun kar samajh kar dekh kar
ek mimbar thā vahāñ do-chār the zarf-e-vazū
ho ga.ī hairat hameñ allāh kā ghar dekh kar
vo samajhte haiñ ye koī tālib-e-dīdār hai
sāya-e-qāmat ko bhī raste meñ aksar dekh kar
dasht se barsoñ meñ laa.ī thī hameñ hubb-e-vatan
aur vahshat baḌh ga.ī ujḌā huā ghar dekh kar
shash-jihat ke ġham se mai-ḳhvāroñ ko chhuTkārā milā
ḳhum subū shīsha surāhī jaam sāġhar dekh kar
dāvar-e-mahshar ko itnī jāñch kī fursat kahāñ
pheñk degā vo mire isyāñ kā daftar dekh kar
but-parastī tak pahuñchtī hai kahāñ nāseh ye baat
ḳhush huā kartā huuñ maiñ ḳhush-rañg patthar dekh kar
ġham mujhe kyā ho ki tanhā mubtalā-e-ġham nahīñ
mutma.in hai dil mirā duniyā ko muztar dekh kar
mere dil meñ aa.e vo apne harīm-e-nāz se
tīsrā ghar ab na dekheñ dūsrā ghar dekh kar
'nūh' is tūfān par kyā abr ko tarjīh duuñ
paanī paanī hai vo josh dīda-e-tar dekh kar