ye kyā huā ki sabhī ab to daaġh jalne lage
havā chalī to lahū meñ charāġh jalne lage
miTā gayā thā lahū ke sabhī nishāñ qātil
magar jo shaam Dhalī sab charāġh jalne lage
ik aisī fasl utarne ko hai gulistāñ meñ
zamāna dekhe ki phūloñ se baaġh jalne lage
nigāh-e-tā.ir-e-zindāñ uThī thī ghar kī taraf
ki soz-e-ātash-e-giryāñ se daaġh jalne lage
ab us maqām pe hai mausamoñ kā sard mizāj
ki dil sulagne lage aur dimāġh jalne lage
ab aa bhī jā ki yuuñ hī duur duur rahne se
ye mere hoñT vo tere ayāġh jalne lage
nahā ke nahr se 'sālim' parī vo kyā niklī
ki tāb-e-husn se ḳhud astabāġh jalne lage