Qaisar Nizami

teri nazar ke ishaaron ko dil-kashi baKHshi

Qaisar Nizami

Delhi, India

tirī nazar ke ishāroñ ko dil-kashī baḳhshī
nazar-navāz nazāroñ ko tāzgī baḳhshī
ḳhizāñ kī zad meñ hī ab tak tirā gulistāñ thā
hamīñ ne aa ke bahāroñ ko zindagī baḳhshī
chaman ko ham ne hī apne lahū se sīñchā hai
kalī ko ham ne hī ik tarz-e-dil-kashī baḳhshī
tirī adā bhī adā hai vo ik qayāmat kī
ye aur baat hai tāroñ ko dil-kashī baḳhshī
hai zo.am chāk-e-girebāñ ko apnī qismat par
ki tum ne kyuuñ na majāl-e-rafū-garī baḳhshī
sunā do ahl-e-vafā ko ye falsafa 'qaisar'
junūñ ne hosh kī duniyā ko āgahī baḳhshī
Top Urdushayar.com