Nooh Narvi

ye matlab hai ki muztar hi rahun main bazm-e-qatil mein

Nooh Narvi

Raebareli, Uttar pradesh, India

1879-1962
ye matlab hai ki muztar hī rahūñ maiñ bazm-e-qātil meñ
taḌaptā loTtā dāḳhil huā ādāb-e-mahfil meñ
asar kuchh aap ne dekhā hamāre jazb-e-kāmil kā
udhar chhūTe kamāñ se aur idhar tiir aa ga.e dil meñ
ilāhī kis se pūchheñ haal ham gor-e-ġharībāñ kā
ki saare ahl-e-mahfil chup haiñ us ḳhāmosh mahfil meñ
idhar aa kar zarā āñkhoñ meñ āñkheñ Dālne vaale
vo laTkā to batā de jis se dil ham Daal deñ dil meñ
badal de is tarah ai charḳh husn o ishq kā manzar
pas-e-mahmil ho lailā qais ho lailā ke mahmil meñ
bañdhe shart-e-vafā kyūñkar nibhe rasm-e-vafā kyūñkar
yahāñ kuchh aur hai dil meñ vahāñ kuchh aur hai dil meñ
hamāre dil kī duniyā rah ga.ī zer-o-zabar ho kar
qayāmat Dhā gayā zaanū badalnā un kā mahfil meñ
ye kyā andher hai kaisā ġhazab hai kyā tamāshā hai
miTāo bhī usī dil ko raho bhī tum usī dil meñ
tamāshā ham bhī dekheñ Duub kar bahr-e-mohabbat kā
apāhij kī tarah baiThe haiñ kyā āġhosh-e-sāhil meñ
tarīqa is se āsāñ aur kyā hai ghar banāne kā
mire āġhosh meñ aa kar jagah kar lījiye dil meñ
baḌhā ai 'nūh' jab tūfān dariyā-e-havādis kā
to ġhote vart-e-ġham ne de diye afkār-e-sāhil meñ
Top Urdushayar.com