Nooh Narvi

us but-e-kafir ko un ka dhyan kya hai kuchh nahin

Nooh Narvi

Raebareli, Uttar pradesh, India

1879-1962
us but-e-kāfir ko un kā dhyān kyā hai kuchh nahīñ
diin kyā hai kuchh nahīñ īmān kyā hai kuchh nahīñ
nazr karne ke liye sāmān kyā hai kuchh nahīñ
jaan hai ab aur merī jaan kyā hai kuchh nahīñ
ḳhaak se paidā huā ye ḳhaak meñ mil jā.egā
ḳhāk-dān-e-dahr meñ insān kyā hai kuchh nahīñ
chāhtā huuñ maiñ ki chāheñ aap bhī dil se mujhe
hai yahī armān aur armān kyā hai kuchh nahīñ
har ghaḌī zulm-o-sitam har dam vahī qahr-o-itāb
aap ke nazdīk merī jaan kyā hai kuchh nahīñ
maiñ faqīr-e-be-ġharaz huuñ be-ġharaz ke vāste
naf.a kyā hai kuchh nahīñ nuqsān kyā hai kuchh nahīñ
marne vaale luTne vaale miTne vaale ke liye
jaan kyā hai aan kyā hai shaan kyā hai kuchh nahīñ
teġh ne gardan judā kī maut ne lī jān-e-zār
mere sar par aap kā ehsān kyā hai kuchh nahīñ
jab kaho qurbān kar duuñ jab kaho kar duuñ nisār
ye zarā sā dil zarā sī jaan kyā hai kuchh nahīñ
kyā kahā ham ko bahut kuchh ġham-zadoñ kā dhyān hai
tum ko apne ġham-zadoñ kā dhyān kyā hai kuchh nahīñ
har hasīñ par us ko marnā aur use ġham jhelnā
dil salāmat hai to merī jaan kyā hai kuchh nahīñ
sar paTakne ko faqat do-chār patthar rakh liye
aur mere ghar meñ ab sāmān kyā hai kuchh nahīñ
ḳhair jo zulm-o-sitam karne the vo tum ne kiye
pichhlī bātoñ kā hameñ ab dhyān kyā hai kuchh nahīñ
maiñ ye un se kyuuñ kahūñ tum āshiqoñ kī jaan ho
jāntā huuñ āshiqoñ kī jaan kyā hai kuchh nahīñ
ho ga.ī ġharqāb duniyā bhar gayā saarā jahāñ
ab to kahiye 'nūh' kā tūfān kyā hai kuchh nahīñ
Top Urdushayar.com