Nooh Narvi

wo karenge mera qusur muaf

Nooh Narvi

Raebareli, Uttar pradesh, India

1879-1962
vo kareñge mirā qusūr muaaf
ho chukā kar chuke zarūr muaaf
husn ko be-qusūr kahte haiñ
hai qusūr aap kā qusūr muaaf
maiñ ne ye jaan kar ḳhatā.eñ kiiñ
har ḳhatā hogī bizzarūr muaaf
vo hañsī aa ga.ī tire lab par
ho gayā vo mirā qusūr muaaf
be-ḳhudī meñ jo ho ḳhatā ham se
kam se kam vo to ho zarūr muaaf
ḳhāmushī un kī mujh se kahtī hai
ab huā ab huā qusūr muaaf
phir na tum baḳhshnā kabhī mujh ko
pahlī taqsīr ho zarūr muaaf
haath bhī joḌe paañv par bhī girā
ab to kah do kiyā qusūr muaaf
hai yahī kaam us kī rahmat kā
hoñge mere gunah zarūr muaaf
aur aadat mirī ḳharāb huī
kaash karte na vo qusūr muaaf
ḳhud ye iqrār-e-jurm karte haiñ
kījiye 'nūh' ko zarūr muaaf
Top Urdushayar.com