pahlū meñ chain se dil-e-muztar na rah sakā
dam bhar na ruk sakā ye ghaḌī bhar na rah sakā
ab iztirāb had se hamārā guzar gayā
rakkhā jo ham ne haath to dilbar na rah sakā
tum le ke pherte ho jo dil kuchh sabab bhī hai
kyūñ-kar na rakh sake ise kyūñ-kar na rah sakā
maiñ huuñ ki naqsh-e-pā huuñ sabā ho ki mudda.ī
un kī galī meñ koī bhī jam kar na rah sakā
ai 'nūh' ab kahāñ ise le jā ke pheñk duuñ
lo un ke paas bhī dil-e-muztar na rah sakā