ham ishq meñ un makkāroñ ke be-fā.eda jalte bhunte haiñ
matlab jo hamārā sun sun kar kahte haiñ ham ūñchā sunte haiñ
ham kuchh na kisī se kahte haiñ ham kuchh na kisī kī sunte haiñ
baiThe hue bazm-e-dilkash meñ bas dil ke TukḌe chunte haiñ
ulfat ke fasāne par donoñ sar apnā apnā dhunte haiñ
ham sunte haiñ vo kahte haiñ ham kahte haiñ vo sunte haiñ
dil sā bhī koī hamdard nahīñ ham sā bhī koī dil-soz nahīñ
ham jalte haiñ to dil jaltā hai dil bhuntā hai to ham bhunte haiñ
taqdīr kī gardish se na rahā mahfūz hamārā dāman bhī
chunte the kabhī ham lāla-o-gul ab kañkar patthar chunte haiñ
aaj ā.eñge kal ā.eñge kal ā.eñge aaj ā.eñge
muddat se yahī vo kahte haiñ muddat se yahī ham sunte haiñ
aa.heñ na kabhī muñh se niklīñ naale na kabhī aa.e lab tak
ho zabt-e-tap-e-ulfat kā burā ham dil hī dil meñ bhunte haiñ
murġhān-e-chaman bhī merī tarah dīvāne haiñ lekin farq ye hai
maiñ dasht meñ tinke chuntā huuñ vo baaġh meñ tinke chunte haiñ
ho bazm-e-tarab yā bazm-e-alam har majme.a meñ har mauqe.a par
ham sham.a ke sho.ale kī sūrat jalte bhī haiñ sar bhī dhunte haiñ
gulzār-e-jahāñ kī nairañgī āzār jinheñ pahuñchātī hai
kāñToñ ko haTā kar dāman meñ vo phuul chaman ke chunte haiñ
āzār-o-sitam ke shikvoñ kā jhagḌā bhī chuke qissa bhī miTe
tum se jo kahe kuchh baat koī kah do use ham kab sunte haiñ
ghabrā ke jo maiñ un ke dar par detā huuñ kabhī āvāz unheñ
to kahte haiñ vo Thahro dam lo aate haiñ ab afshāñ chunte haiñ
ai 'nūh' kahāñ vo josh apnā vo taur apne vo baat apnī
tūfān uThāte the pahle ab hasrat se sar dhunte haiñ