Nooh Narvi

jaane ko jae fasl-e-gul aane ko aae har baras

Nooh Narvi

Raebareli, Uttar pradesh, India

1879-1962
jaane ko jaa.e fasl-e-gul aane ko aa.e har baras
ham ġham-zadoñ ke vāste jaise chaman vaise qafas
ruḳhsat huā bīmār-e-ġham bālīñ se uTThe ham-nafas
tadbīr to karte haiñ sab taqdīr par kis kā hai bas
mahshar meñ us bedard se gar pūchh-gachh ne daad kī
aayā huuñ maiñ fariyād ko fariyād sun fariyād-ras
mumkin nahīñ maiñ chhuT sakūñ dām-e-vafā-o-ishq se
bāñdhe ga.e sab dast-o-pā jakḌī ga.ī ek ek nas
qat.a-e-manāzil maiñ karūñ to kis sahāre par karūñ
mafqūd ahl-e-kārvāñ masdūd āvāz-e-jaras
tū aur da.avā ishq kā ye bhī ḳhudā kī shaan hai
mansūr banñe ke liye dil chāhiye ai bul-havas
kahne ko hai saarā jahāñ sachche fidā.ī haiñ kahāñ
das meñ na niklegā koī das laakh meñ nikleñge das
jaa.e bahār aa.e ḳhizāñ is kā taraddud kuchh nahīñ
haiñ lāla-o-gul se sivā mujh ko chaman ke ḳhār-o-ḳhas
tūl-e-ġham-o-āzār ne nāshād mujh ko kar diyā
hai ek ghanTa ek din hai ik mahīna ik baras
kam-baḳht marne ke liye sayyād ke ghar aa.e haiñ
dekheñge ab kyā sair-e-gul chhuT kar asīrān-e-qafas
pahuñche sar-e-arsh-e-barīñ ummīd to aisī nahīñ
hāthoñ hī tak mahdūd hai merī duā kī dastaras
qaabū meñ jab dil hī nahīñ to kyā kahūñ maiñ dard-e-dil
baḌh kar hai teġh-o-tīr se mere liye merā nafas
sau baar de kar jām-o-ḳhum mamnūn saaqī ne kiyā
is kā taqāzā thā ki pī merī guzārish thī ki bas
ai ḳhizr aa.e lutf kyā mashrab alag maslak judā
marne kī hasrat mujh ko hai tum ko hai jiine kī havas
un ke alāva kaun hai mere qarīñ koī nahīñ
yā dahne baa.eñ āfateñ yā ārzūeñ pesh-o-pas
jām-o-subū kā zikr kyā bahtā phire ḳhud mai-kada
ai abr-e-rahmat TuuT kar aisā baras itnā baras
kyā ibtidā kyā intihā jo aa.egā vo jā.egā
duniyā-e-fānī kuchh nahīñ allāh bas baaqī havas
lutf-o-karam se kyā ġharaz qahr-o-sitam se kaam le
barbādī-e-ushshāq par apnī kamar mazbūt kas
kab tak ye sail-e-ashk-e-ġham kab tak ye tūfāñ-ḳheziyāñ
duniyā fanā ho jā.egī ai 'nūh' bas ai 'nūh' bas
Top Urdushayar.com