ye nayā zulm na.ī tarz-e-jafā hai ki nahīñ
vo burā kah ke ye kahte haiñ sunā hai ki nahīñ
jī meñ aatā hai ki dekhūñ kabhī sar phoḌ ke maiñ
vasl un kā mirī qismat meñ likhā hai ki nahīñ
ham isī fikr meñ be-maut mare jaate haiñ
un ke hāthoñ se hamārī bhī qazā hai ki nahīñ
lo mire zikr-e-mohabbat pe ye irshād huā
qais o farhād kā anjām sunā hai ki nahīñ
sun ke ash.ār yahī 'nūh' se vo pūchhte haiñ
tujh meñ kuchh aur sifat is ke sivā hai ki nahīñ