rah-e-talab meñ bane vo nashtar idhar se jaate udhar se aate
chubhe jo kāñTe qadam qadam par idhar se jaate udhar se aate
kahīñ na thak kar ruke koī dam tavāf-e-bazm-e-habīb meñ ham
mile haiñ dair-o-haram bhī aksar idhar se jaate udhar se aate
jo hasrat-e-jalva thī kisī kī to ḳhaak uḌaa.ī na kyuuñ galī kī
hameñ lagānā thā roz chakkar idhar se jaate udhar se aate
agar bulātā bhī apne ghar meñ to ham ko rakhtā na vo nazar meñ
bahāl-e-muztar ba-shakl-e-abtar idhar se jaate udhar se aate
hue pareshān sab musāfir na niklī sūrat koī bil-āḳhir
jo raah masdūd thī to kyūñkar idhar se jaate udhar se aate
nazar thī gahrī kahāñ kisī kī ye rāh-e-ulfat meñ kyā ḳhabar thī
chubheñge nāvak chaleñge ḳhanjar idhar se jaate udhar se aate
vo ishq-e-sādiq kī paak manzil vo ka.aba-o-dair ke marāhil
mile the raste meñ ham ko do ghar idhar se jaate udhar se aate
hujūm thā mai-kade meñ aisā ki daur kā intizām kaisā
jo raah paate to jām-o-sāġhar idhar se jaate udhar se aate
phirā kiye aap rahguzar meñ kabhī na Thahre hamāre ghar meñ
karam ye karnā thā banda-parvar idhar se jaate udhar se aate
talāsh-e-manzil burī balā thī na thī jo qahr-o-ġhazab to kyā thī
jagah jagah ham ne khaa.ī Thokar idhar se jaate udhar se aate
lagā rahe haiñ fuzūl chakkar jhukā.eñ sar un ke sañg-e-dar par
ham āzmā.eñ kabhī muqaddar idhar se jaate udhar se aate
marīz-e-ulfat kā dam nikaltā na kuchh tag-o-dau kā zor chaltā
vo haath rakkhe hue jigar par idhar se jaate udhar se aate
churā.īñ kyuuñ aap ne nigāheñ ki ho ga.iiñ band dil kī rāheñ
maza to jab thā ye tiir aksar idhar se jaate udhar se aate
kahīñ ho aanā kahīñ ho jaanā magar hai bistar yahīñ jamānā
hameñ Thaharnā tumhāre dar par idhar se jaate udhar se aate
maqām-e-qurb-e-ḳhudā thā mushkil magar na thī un ko fikr-e-manzil
mile jinheñ 'nūh' se payambar idhar se jaate udhar se aate