mohabbat kī sahbā pilāne chalā huuñ
zamāne ko insāñ banāne chalā huuñ
ḳhushī ahl-e-gulshan ko ye sun ke hogī
masarrat ke naġhme sunāne chalā huuñ
charāġh-e-ruḳh-e-mehr-o-anjum ko le kar
zamāne kī zulmat miTāne chalā huuñ
mirā hausla koī dekhe to aa kar
harīfoñ se nazreñ milāne chalā huuñ
tire dar pe zauq-e-jabīñ-sā.ī le kar
muqaddar ko phir āzmāne chalā huuñ
ilāhī ḳhizāñ kā badal jaa.e chehrā
chaman meñ shagūfe khilāne chalā huuñ
zamāna bhī ho muttafiq jis se 'qaisar'
mohabbat ke vo giit gaane chalā huuñ