Nooh Narvi

dil-sitani dilrubai par ghamanD

Nooh Narvi

Raebareli, Uttar pradesh, India

1879-1962
dil-sitānī dilrubā.ī par ghamanD
aap ko hai ḳhush-adā.ī par ghamanD
jāntā huuñ us kā nibhnā hai muhāl
kyā karūñ maiñ pārsā.ī par ghamanD
naaz hai qātil ko apnī teġh par
teġh ko hai kaj-adā.ī par ghamanD
rahm un ko hāl-e-ġham par aa gayā
dil kare be-dast-o-pā.ī par ghamanD
āsiyoñ ko rahmat-e-haq par ġhurūr
zāhidoñ ko jab.ha-sā.ī par ghamanD
guftugū bhī mujh se tum karte nahīñ
is qadar is ḳhush-adā.ī par ghamanD
parda-e-dar par kisī ko naaz hai
ham ko nazroñ kī rasā.ī par ghamanD
ab unheñ hai dil-navāzī kā ḳhayāl
thā jinheñ teġh-āzmā.ī par ghamanD
phir giraftār-e-qafas ho jā.ūñgā
hai abas mujh ko rihā.ī par ghamanD
ho gayā jis ke sabab se maiñ asiir
thā mujhe us ḳhush-navā.ī par ghamanD
ġharq kar degā unheñ tūfān-e-ishq
'nūh' ko hai nā-ḳhudā.ī par ghamanD
Top Urdushayar.com