Nooh Narvi

shikwon pe sitam aahon pe jafa sau bar hui sau bar hua

Nooh Narvi

Raebareli, Uttar pradesh, India

1879-1962
shikvoñ pe sitam aahoñ pe jafā sau baar huī sau baar huā
har baat mujhe har kaam mujhe dushvār huī dushvār huā
saaqī kī nashīlī ā.ankhoñ se saarī duniyā saarā aalam
badmast huī badmast huā sarshār huī sarshār huā
hai naam dil-e-muztar jis kā kahte haiñ jise sab jān-e-hazīñ
marne ke liye miTne ke liye tayyār huī tayyār huā
iz.hār-e-mohabbat bhī hai ġhazab iz.hār-e-mohabbat kaun kare
hujjat un se jhagḌā mujh se har baar huī har baar huā
duniyā meñ bahār ab aa pahuñchī mai-ḳhāne kā dar bhī khul jaa.e
ek ek galī ek ek makāñ gulzār huī gulzār huā
kyuuñ rahm vo zālim karne lagā kyuuñ maut yahāñ tak aane lagī
ulfat se mirī sūrat se mirī bezār huī bezār huā
hasrat apnī armāñ apnā āzār apnā taklīf apnī
hamdard banī hamdard banā ġham-ḳhvār huī ġham-ḳhvār huā
milne se tanaffur thā jis ko āġhosh meñ ab vo sotā hai
taqdīr mirī iqbāl mirā bedār huī bedār huā
maqtal meñ jafā.eñ Dhāne par maqtal meñ jafā.eñ sahne par
qātil kī nazar bismil kā jigar tayyār huī tayyār huā
ai 'nūh' ye kyā sūjhī tum ko tūfān uThāyā kyuuñ tum ne
saarī duniyā saarā aalam bezār huī bezār huā
Top Urdushayar.com