Nooh Narvi

ishq mein mujhko bigaD kar ab sanwarna aa gaya

Nooh Narvi

Raebareli, Uttar pradesh, India

1879-1962
ishq meñ mujh ko bigaḌ kar ab sañvarnā aa gayā
ho gayā nākām lekin kaam karnā aa gayā
ye agar sach hai ki mujh ko ishq karnā aa gayā
to samajh lo roz jiinā roz marnā aa gayā
dāva-e-ishq-o-vafā par mujh ko marnā aa gayā
kah guzarne kī jagah ab kar guzarnā aa gayā
varta-e-dariyā-e-ġham ne aise ġhote de diye
Dūbnā phir Duub kar mujh ko ubharnā aa gayā
chand ḳhūñ-ālūda aañsū jazb-e-dāman ho ga.e
paikar-e-sāda meñ ġham ko rañg bharnā aa gayā
sheva-e-ishq-o-vafā meñ ham ko nākāmī sahī
kam se kam ye to huā be-maut marnā aa gayā
shauq se zulm-o-sitam ab roz Dhāte jā.iye
ahl-e-ġham ko ġham uThā kar ġham na karnā aa gayā
kuchh tavahhum kuchh tavaqqo.a kuchh alam kuchh imbisāt
ishq kar ke mujh ko jiinā aur marnā aa gayā
kasrat-e-āzār ne ta.alīm de dī zabt kī
jabr ke baa.is se dil ko sabr karnā aa gayā
ashk āñkhoñ meñ pahuñch kar dil meñ phir vāpas ga.e
yuuñ samajh le chaḌhte dariyā kā utarnā aa gayā
kam se kam thā ik tarah kā aasrā iqrār tak
lekin un ko saaf ab inkār karnā aa gayā
rahguzar se ishq kī maiñ aaj tak guzrā nahīñ
kis tarah kah duuñ mujhe jī se guzarnā aa gayā
husn kī naḳhvat ne pahuñchāyā uḌā kar arsh tak
ab to pariyoñ kā bhī tum ko par katarnā aa gayā
bahr-e-zauq-o-shauq meñ ye bhī ġhanīmat jāniye
'nūh' ko tūfān uThā kar ġharq karnā aa gayā
Top Urdushayar.com