Nooh Narvi

dil hamari taraf se saf karo

Nooh Narvi

Raebareli, Uttar pradesh, India

1879-1962
dil hamārī taraf se saaf karo
jo huā vo huā muaaf karo
ahl-e-gulshan bahār aa pahuñchī
ḳhār-o-ḳhas se chaman ko saaf karo
jab sitam hogā phir karam ke ba.ad
to karam se mujhe muaaf karo
mujh se kahtī hai us kī shān-e-karam
tum gunāhoñ kā e'tirāf karo
ye bhī aadat meñ koī aadat hai
jo kaho us ke bar-ḳhilāf karo
kyuuñ bujhāo paheliyāñ be-kār
guftugū mujh se saaf saaf karo
ek do tiin chaar pāñch nahīñ
sab ḳhatā.eñ mirī muaaf karo
husn un ko ye raa.e detā hai
kaam ummīd ke ḳhilāf karo
hazrat-e-dil yahī hai dair-o-haram
mahfil-e-yār kā tavāf karo
tum sazā do magar ba-hasb-e-qusūr
maiñ ye kahtā nahīñ muaaf karo
is meñ bhī shaan paa.ī jaatī hai
ho koī baat inhirāf karo
saḳht-jānoñ kā qatl khel nahīñ
kuchh dinoñ aur haath saaf karo
tum ko qahr-e-karam-numā kī qasam
faisla mere bar-ḳhilāf karo
khulte haiñ dil ke itne hī jauhar
jitnā is aa.ine ko saaf karo
dil meñ haiñ ḳhār-e-ārzū lākhoñ
aao kāñToñ se ghar ko saaf karo
tūr-e-sīnā kī samt jaa.eñ kalīm
'nūh' tum sair-e-koh-e-qāf karo
Top Urdushayar.com