har tarah yuuñ hai duuñ hai be-ma.anī
ishq bhī ik junūñ hai be-ma.anī
mil gayā muzhda-e-bahār mujhe
kyā ye haijān-e-ḳhūñ hai be-ma.anī
sun rahā huuñ ki vo nahīñ sunte
sharh-e-hāl-e-zabūñ hai be-ma.anī
va.ada-e-hashr kā bharosa kyā
haañ hai be-kār huuñ hai be-ma.anī
ġham kī pur-iztirār rāhoñ meñ
justujū-e-sukūñ hai be-ma.anī
husn kī ek ek baat fusūñ
ishq kā har fusūñ hai be-ma.anī
jaise us kā vajūd kuchh bhī na ho
sarguzisht apnī yuuñ hai be-ma.anī
jalva-e-ruḳh hai un kā bā-matlab
apnā soz-e-darūñ hai be-ma.anī
shauq kā takmila nahīñ hotā
zauq-e-duniyā-e-dūñ hai be-ma.anī
jis se vahshat ko ḳhud na vahshat ho
is tarah kā junūñ hai be-ma.anī
ġham ne bijlī banā diyā dil ko
imtihān-e-sukūñ hai be-ma.anī
vo ye kah kar kabhī nahīñ sunte
hāl-e-soz-e-darūñ hai be-ma.anī
chashm-e-bad-dūr un kī ā.ankhoñ meñ
sāmrī kā fusūñ hai be-ma.anī
ishq-e-nākām-e-husn kā qissa
kyā kahūñ kyā sunūñ hai be-ma.anī
'nūh' tūfān-e-bahr-e-ulfat meñ
fikr-e-zabt-o-sukūñ hai'' be-ma.anī