abhī kam-sin haiñ mālūmāt kitnī
vo kitne aur un kī baat kitnī
ye mere vāste hai baat kitnī
vo kahte haiñ tirī auqāt kitnī
sahar tak haal kyā hogā hamārā
ḳhudā jaane abhī hai raat kitnī
ye sar hai ye kaleja hai ye dil hai
vo leñge ḳhair se sauġhāt kitnī
tavajjoh se kabhī sun lo mirī baat
jo tum chāho to ye hai baat kitnī
tabī.at kyuuñ na apnī muzmahil ho
rahī ye morid-e-āfāt kitnī
gulistāñ fasl-e-gul meñ luT rahā hai
hinā aa.ī tumhāre haat kitnī
hamāre dil na dene par ḳhafā ho
luTāte ho tumhīñ ḳhairāt kitnī
karo shukr-e-sitam un ke sitam par
ki itnī baat bhī hai baat kitnī
jafā-o-qahr se vāqif na thā maiñ
baḌhī ulfat meñ mālūmāt kitnī
jafā vaale hisāb is kā lagā leñ
vafā kartā huuñ maiñ din raat kitnī
ibādat hazrat-e-zāhid karūñ maiñ
magar ai qibla-e-hājāt kitnī
nahīñ rukte hamāre ashk ai 'nūh'
ye tūfāñ-ḳhez hai barsāt kitnī