dard-e-firāq dil se judā ho to jāniye
is kā ilaaj is kī davā ho to jāniye
go nāma-bar ko naaz hai apne bayān par
paiġhām-e-shauq us se adā ho to jāniye
dard-e-firāq had se guzar kar Thahar gayā
kam ho to jāniye jo sivā ho to jāniye
kyā aap pūchhte haiñ mire dil kā mājrā
aisī hī aap par bhī jafā ho to jāniye
jo ġham mujhe haiñ aap unheñ ai janāb-e-'nūh'
kyā jāniye dil us ko diyā ho to jāniye