vaah ye lutf-e-soz-e-ulfat kis kī badaulat dil kī badaulat
dozaḳh bhī hai mujh ko jannat kis kī badaulat dil kī badaulat
dil meñ hai dāġhoñ kī kasrat kis kī badaulat dil kī badaulat
aisī daulat itnī daulat kis kī badaulat dil kī badaulat
sab se ulfat sab kī hasrat kis kī badaulat dil kī badaulat
Dāvāñ-Dol hai merī niyyat kis kī badaulat dil kī badaulat
pesh-e-nazar rahte haiñ bāham phirte haiñ ā.ankhoñ meñ har dam
husn-e-kasrat nūr-e-vahdat kis kī badaulat dil kī badaulat
un ko bhī hai merā saudā aur mujhe bhī saudā un kā
ek huī donoñ kī sūrat kis kī badaulat dil kī badaulat
dekh liyā kartā huuñ aksar ye bhī aalam vo bhī manzar
shām-e-furqat sub.h-e-qayāmat kis kī badaulat dil kī badaulat
kartā huuñ maiñ apnā mātam aatī hai ulfat meñ paiham
kis par aafat mujh par aafat kis kī badaulat dil kī badaulat
maiñ jo na bazm-e-nāz meñ jaatā kyuuñ ġhamza mujh ko taḌpātā
hañste bolte aa ga.ī shāmat kis kī badaulat dil kī badaulat
ahl-e-vafā ne mujh ko jaanā ahl-e-jafā ne bhī pahchānā
ye hai izzat ye hai shohrat kis kī badaulat dil kī badaulat
kyā ho qasd nikal jaane kā ghar pā kar ab shaad hai kyā kyā
armāñ armāñ hasrat hasrat kis kī badaulat dil kī badaulat
aksar miTnā aksar ubharnā aksar jiinā aksar marnā
rahtī hai ye merī sūrat kis kī badaulat dil kī badaulat
uThte baiThte ronā dhonā ashkoñ se duniyā ko Dubonā
'nūh' ye hai tūfān kī shiddat kis kī badaulat dil kī badaulat