Nooh Narvi

nakaam-e-nashat-e-aish-o-KHushi har waqt ke ranj-o-gham ne kiya

Nooh Narvi

Raebareli, Uttar pradesh, India

1879-1962
nākām-e-nashāt-e-aish-o-ḳhushī har vaqt ke ranj-o-ġham ne kiyā
jo tum ne kahā vo dil ne kiyā jo dil ne kahā vo ham ne kiyā
ye haal hai mere marqad kā aalam hai ye mere madfan par
sarsar ne kisī din jhāḌū dī chhiḌkāv kabhī shabnam ne kiyā
furqat meñ hazāroñ zulm sahe ulfat meñ hazāroñ rañj diye
kyā ham ne kiyā kyā tum ne kiyā ye tum ne kiyā vo ham ne kiyā
ā.ankhoñ se bahe miTTī meñ mile ahbāb ko parvā kuchh na huī
mātam mire ik ik aañsū kā mizhgāñ kī saf-e-mātam ne kiyā
ab koī use fariyād kahe yā koī use shikva samjhe
ham ko jo satāyā bandoñ ne to shukr ḳhudā kā ham ne kiyā
yuuñ aap bigaḌne ko bigḌeñ lekin ye zarā socheñ samjheñ
kyā sirf hamīñ ne ishq kiyā duniyā ne kiyā aalam ne kiyā
ye tum ne kiyā ye tum ne sunā ye tum ne kahā ye kaun kahe
vo pūchhte haiñ kyā ham ne kahā kyā ham ne sunā kyā ham ne kiyā
hasrat ko bhī hasrat aatī hai ibrat ko bhī ibrat aatī hai
vo shakl hamārī ġham meñ huī ye haal hamārā ġham ne kiyā
duniyā ko Duboyā ashkoñ se tūfān uThāyā ro ro kar
dariyā-e-ġham ulfat meñ bapā ai 'nūh' talātum ham ne kiyā
Top Urdushayar.com