Nooh Narvi

mera dil dekho ab ya mere dushman ka jigar dekho

Nooh Narvi

Raebareli, Uttar pradesh, India

1879-1962
mirā dil dekho ab yā mere dushman kā jigar dekho
tumhāre bas meñ āñkheñ haiñ jidhar jaao udhar dekho
qayāmat meñ na mere muñh se phir fariyād niklegī
agar ye kah diyā us ne yahāñ aao idhar dekho
tumhāre naam par mar miTne vaalā kaun hai maiñ huuñ
agar socho agar samjho agar maano agar dekho
mire dil ko charā kar phir churāo aañkh kyā ma.anī
nigāh-e-qahr hī se tum mujhe dekho magar dekho
jo kahtā huuñ fanā ke ba.ad sab ko chain miltā hai
to vo kahte haiñ phir ab der kyā tum bhī mar dekho
raqīboñ ko tum āñkheñ to dikhāte ho sar-e-mahfil
kahīñ aisā na ho ban jaa.e merī jaan par dekho
kisī ko dekh kar ai 'nūh' kaisī kuchh banī dil par
ye kis kam-baḳht ne tum se kahā thā tum idhar dekho
Top Urdushayar.com