Nooh Narvi

bataur-e-yaadgar-e-zohd mai-KHane mein rakh dena

Nooh Narvi

Raebareli, Uttar pradesh, India

1879-1962
bataur-e-yādgār-e-zohd mai-ḳhāne meñ rakh denā
mirī TuuTī huī tauba ko paimāne meñ rakh denā
kahā thā ai dil-e-nā-faham-o-nādāñ tujh se ye kis ne
ḳhudā-ḳhāne kī hurmat ko sanam-ḳhāne meñ rakh denā
pasand aa.e na aa.e munhasir hai ye tabī.at par
kisī ke sāmne dil ham ko nazrāne meñ rakh denā
dobārā phir kisī din mere kaam aa.egī ai saaqī
jo mai piine se bach jaa.e vo paimāne meñ rakh denā
kahīñ aa.eñ kahīñ jaa.eñ kahīñ uTTheñ kahīñ baiTheñ
qadam hir-phir kar apnā ham ko but-ḳhāne meñ rakh denā
charāġh-e-anjuman apnī ziyā phailāne vaalā hai
uThā kar sho.ala-e-ulfat ko parvāne meñ rakh denā
kahāñ ham DhūñDte tujh ko phireñge us ghaḌī saaqī
subūhī ke liye thoḌī sī paimāne meñ rakh denā
nazar aate haiñ kuchh añgūr mujh ko ai mire saaqī
lahū tauba kā un ke ek ik daane meñ rakh denā
ḳhatā-e-ishq par kyuuñ 'nūh' apnī jaan kho baiThe
raqam itnī baḌī aur is ko jurmāne meñ rakh denā
Top Urdushayar.com