Nooh Narvi

teri tund-KHui teri kina-jui teri kaj-adai teri bewafai

Nooh Narvi

Raebareli, Uttar pradesh, India

1879-1962
tirī tund-ḳhūī tirī kīna-jūī tirī kaj-adā.ī tirī bevafā.ī
balā hai sitam hai ġhazab hai qayāmat duhā.ī duhā.ī duhā.ī duhā.ī
haqīqat ne chakkar meñ Daalā thā ham ko tarīqat bure vaqt par kaam aa.ī
hama-dast kā mas.ala jab hai aage to kaisī duī aur kaisī judā.ī
udhar paas chilman ke maujūd the vo idhar the pareshān un ke fidā.ī
rahā sharm-o-shoḳhī kā dilkash tamāshā na jalva dikhāyā na sūrat chhupā.ī
madad kar zarā aur ai josh-e-ulfat ki armān dil kā nikal jaa.e dil se
kabhī jalva-gah tak guzar ho hamārā abhī rahguzar tak huī hai rasā.ī
bharam khul gayā us se ayyāriyoñ kā khulā raaz bhī us se makkāriyoñ kā
churāyā thā tum ne agar dil hamārā to dil ko churā kar nazar kyuuñ churā.ī
udhar sab se parda idhar sab meñ jalva yahāñ vaar aalim vahāñ aur manzar
kahīñ vo ayaañ hai kahīñ vo nihāñ hai kabhī husn-poshī kabhī ḳhud-numā.ī
jahāñ meñ bashar un se ho be-ta.alluq koī maan le ham na māneñge us ko
ki chāroñ taraf haiñ yahī chaar chīzeñ mohabbat adāvat bhalā.ī burā.ī
barābar haiñ dair-o-haram ke marātib masāvī haiñ donoñ gharoñ kī haqīqat
nahīñ farq kuchh bhī hamārī nazar meñ vahī but-parastī vahī jubba-sā.ī
jinheñ aish-o-rāhat kā armān hogā unheñ aish-o-rāhat kā armān hogā
tumhārī mohabbat meñ ham ne balā se vo paayā na paayā ye paa.ī na paa.ī
ye bartāo kyā haiñ ye atvār kyā haiñ zarā aap socheñ zarā aap samjheñ
hamīñ par kisī roz chashm-e-ināyat hamīñ se kisī vaqt be-e'tinā.ī
bahār aa.e muzhda masarrat kā le kar dhuāñ-dhār uTThīñ falak par ghaTā.eñ
idhar jaam chhalke udhar tauba TuuTe baham zohd-o-rindī meñ ho hāthā-pā.ī
agar ho koī rū-shanāsī kā tālib to pahle muqallid bane ā.īne kā
kudūrat se allāh mahfūz rakkhe baḌī shai hai duniyā meñ dil kī safā.ī
ye tauqīr-o-tahqīr meñ bahs kaisī ki haiñ donoñ bāteñ ḳhudā kī taraf se
vo raa.ī ko chāhe to parbat banā de vo parbat ko chāhe to ban jaa.e raa.ī
kisī ko rulāo kisī ko jalāo kisī ko satāo kisī ko miTāo
ḳhudā.ī kā ġham kyā zamāne kā Dar kyā tumhārā zamāna tumhārī ḳhudā.ī
hazāroñ bakheḌe hazāroñ jhamele hazāroñ tavahhum hazāroñ taraddud
magar aap aa.eñ to mehmān rakh luuñ mire dil meñ ab bhī hai utnī samā.ī
jo bande ḳhudā ke ḳhudā par na rakkheñ to rakkheñ bharosa ḳhudā.ī meñ kis par
banāyā unheñ ahl-e-hājat usī ne karegā vahī un kī hājat-ravā.ī
ye andher khātā ye kufrān-e-ne.amat zamāne ko ai 'nūh' kyā ho gayā hai
ḳhudā ke karam se to beḌā na Duube magar paa.e shohrat tirī nā-ḳhudā.ī
Top Urdushayar.com