Qaisar Nizami

munharif mujhse ek zamana hai

Qaisar Nizami

Delhi, India

munharif mujh se ik zamāna hai
bad-nasībī kā kyā Thikāna hai
bahkī jaatī hai chashm-e-zāhid bhī
har adā terī vālehāna hai
kyuuñ jabīñ ab hai mā.il-e-sajda
kyā yahīñ un kā āstāna hai
zarf-e-mai-kash ko taaḌ letī hai
chashm-e-sāqī kā kyā Thikānā hai
vāliyān-e-chaman nahīñ vāqif
barq-āsā har āshiyāna hai
ab to rusvā.iyāñ yaqīnī haiñ
un ke lab par mirā fasāna hai
sū-e-kāba chale to ho 'qaisar'
raah meñ ik sharāb-ḳhāna hai
Top Urdushayar.com