nazar-navāz nazāroñ se baat kartā huuñ
sukūñ nasīb sahāroñ se baat kartā huuñ
ulajh rahā hai jo ḳhāroñ meñ phir se ye dāman
ḳhizāñ ba-dosh bahāroñ se baat kartā huuñ
tumhāre ishq meñ tum se judā judā rah kar
ġham-e-firāq ke māroñ se baat kartā huuñ
tire baġhair ye aalam are ma.āz-allāh
falak ke chāñd sitāroñ se baat kartā huuñ
vufūr-e-ashk se ye haal ho gayā 'qaisar'
yam-e-alam ke kināroñ se baat kartā huuñ