Qaisar Nizami

aatish-e-soz-e-mohabbat ko bujha sakta hun main

Qaisar Nizami

Delhi, India

ātish-e-soz-e-mohabbat ko bujhā saktā huuñ maiñ
dīda-e-pur-nam se ik dariyā bahā saktā huuñ maiñ
husn-e-be-parvā tirā bas ik ishāra chāhiye
merī hastī kyā hai hastī ko miTā saktā huuñ maiñ
ye to farmā dījiye takmīl-e-ulfat kī qasam
aap ko kyā vāqa.ī apnā banā saktā huuñ maiñ
ishq meñ roz-e-azal se dil hai pāband-e-vafā
bhūlne vaale tujhe kyūñkar bhulā saktā huuñ maiñ
ham-nafas mutlaq bhī tūfān-e-alam kā ġham nahīñ
bahr kī har mauj ko sāhil banā saktā huuñ maiñ
baḳhsh dī haiñ ishq ne is darja mujh ko himmateñ
zaḳhm khā kar dil pe 'qaisar' muskurā saktā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com