tirī nazar ke ishāroñ ko niind aa.ī hai
hayāt-baḳhsh sahāroñ ko niind aa.ī hai
tire baġhair tere intizār se thak kar
shab-e-firāq ke māroñ ko niind aa.ī hai
sahar qarīb hai armāñ udaas dil ġham-gīñ
falak pe chāñd sitāroñ ko niind aa.ī hai
tire jamāl se tābīr the jo ulfat meñ
ab un hasīn nazāroñ ko niind aa.ī hai
har ek mauj hai sākit yam-e-mohabbat kī
mire baġhair kināroñ ko niind aa.ī hai
chaman meñ zahmat-e-gulgasht aap farmā.eñ
ye sun rahā huuñ bahāroñ ko niind aa.ī hai
kaho ye sāqi-e-sahbā-navāz se 'qaisar'
phir aaj bāda-gusāroñ ko niind aa.ī hai