paas aa kar chalā gayā koī
hañste hañste rulā gayā koī
dil kī duniyā meñ aa gayā koī
dard ban kar samā gayā koī
yuuñ bahār aa.ī aur chalī bhī ga.ī
jaise aa kar chalā gayā koī
dard-e-ulfat se āshnā kar ke
mujh se āñkheñ churā gayā koī
phir nazar meñ bahār raqsāñ hai
phir tasavvur pe chhā gayā koī
haa.e re merī nīm-bedārī
aate aate chalā gayā koī
rāz-e-ulfat na chhup sakā 'nayyar'
āñkhoñ āñkhoñ meñ pā gayā koī