Nayyar Aasmi

un ke ruKH par nikhaar ka aalam

Nayyar Aasmi

un ke ruḳh par nikhār kā aalam
gulistāñ par bahār kā aalam
mast āñkhoñ meñ shabnamī aañsū
gauhar-e-ābdār kā aalam
un ke aane pe un ke jaane par
dil-e-be-iḳhtiyār kā aalam
raqs karte haiñ kitne paimāne
us nazar meñ ḳhumār kā aalam
vā-e-hasrat ki tere hote bhī
tere hī intizār kā aalam
ruuTh jaanā tirā lagāvaT se
be-ruḳhī meñ bhī pyaar kā aalam
barq uTThī balā.eñ lene ko
hai qafas par bahār kā aalam
arz-e-matlab pe mere ai 'nayyar'
nigah-e-sharm-sār kā aalam
Top Urdushayar.com