Nayyar Aasmi

na nawazishon ki hai aarzu na teri jafa ka malal hai

Nayyar Aasmi

na navāzishoñ kī hai aarzū na tirī jafā kā malāl hai
tū nazar se apnī girā na de yahī ek dil meñ ḳhayāl hai
tujhe jān-e-mehr-o-vafā kaheñ tujhe aks-e-shān-e-ḳhudā kaheñ
tujhe kyā se kyā hai banā diyā ye mirī nazar kā kamāl hai
hai usī se ruuh meñ tāzgī yahī qalb-o-jāñ kī hai raushnī
tū ḳhudā-rā tark-e-sitam na kar mirī zindagī kā savāl hai
tirī raah meñ tirī chaah meñ ye maqām kaun sā aa gayā
ki ḳhushī kī mujh ko ḳhushī nahīñ na malāl hī kā malāl hai
vo nazar kisī kī jhukī jhukī vo hañsī kisī kī rukī rukī
kise pās-e-zabt kā hosh hai kise guftugū kī majāl hai
kabhī rote rote hañsā diyā kabhī hañste hañste rulā diyā
tirī yaad hī se hai har ḳhushī tire zikr hī se malāl hai
Top Urdushayar.com