Nayyar Aasmi

kahin ruswa tera shaida sar-e-mahfil na ho jae

Nayyar Aasmi

kahīñ rusvā tirā shaidā sar-e-mahfil na ho jaa.e
pareshānī junūn-e-ishq kā hāsil na ho jaa.e
abhī kuchh Thokareñ khānī haiñ tūfān-e-havādis meñ
kahīñ kashtī mirī sharminda-e-sāhil na ho jaa.e
bikharte haiñ tire shānoñ pe gesū aaj bal khā kar
kahīñ barham ye merī kā.enāt-e-dil na ho jaa.e
Tapaktī haiñ ḳhirām-e-nāz se rañgīniyāñ sau sau
mujhe Dar hai ki ye duniyā simaT kar dil na ho jaa.e
qarār-e-iztirāb-e-jān-o-dil 'nayyar' usī se hai
pare gardan se merī ḳhanjar-e-qātil na ho jaa.e
Top Urdushayar.com