ilaaj koī jahāñ kā na sāzgār aayā
kisī tarah bhī na dil ko mire qarār aayā
payām maut kā le kar ḳhayāl-e-yār aayā
ajal kī gard meñ hī ziist ko qarār aayā
nigāh-e-lutf ke tālib haiñ jo vo haiñ kam-zarf
hameñ to ulTā jafāoñ pe terī pyaar aayā
ye kis kī yaad se raushan huī 'mīr' duniyā
ye kis kā naam mire lab pe baar baar aayā
ḳhushī se baḌh ke qadam mere ābloñ ne liye
koī jo raah mohabbat meñ ḳhār-zār aayā
na koī lauT ke aayā dayār-e-ulfat se
jo koī bhī 'nayyar' ba-hāl-e-zār aayā