dushman se bhī haath milāyā jā saktā hai
dard kā bhī to lutf uThāyā jā saktā hai
phir se ek mohabbat bhī kī jā saktī hai
tere ġham se haath chhuḌāyā jā saktā hai
sāñjhā koī beach meñ peḌ lagā lete haiñ
jis kā donoñ ghar meñ saaya jā saktā hai
hamsā.e jo apne ghar meñ aaj nahīñ haiñ
dīvāroñ ko dard sunāyā jā saktā hai
hijr ke haath pe ḳhuddārī ko girvī rakh ke
phir se us ko phone lagāyā jā saktā hai
saarī raat ibādat to hai mushkil 'azmī'
haañ raste se sañg haTāyā jā saktā hai