apnī dhun meñ hī jo chup-chāp guzar jaatā huuñ
tum samajhte ho baḌe shauq se ghar jaatā huuñ
le ke chal paḌtā hai mujh ko jo ḳhayālāt kā rath
jab tire shahar meñ pahuñche maiñ utar jaatā huuñ
apne hī dard kī uñglī se lagā rahne de
maiñ ġham-e-dahr kī is bhiiḌ se Dar jaatā huuñ
koī kis tarah mire jism meñ aa jaatā hai
maiñ badan chhoḌ ke apnā ye kidhar jaatā huuñ
tum samajhte ho ki ghar lauT gayā hai 'azmī'
maiñ to har shab tirī dahlīz pe mar jaatā huuñ