Sohan Rahi

ek raushni ka zahr tha jo aankh bhar gaya

Sohan Rahi

Jalandhar, Punjab, India

1936
ik raushnī kā zahr thā jo aañkh bhar gayā
har dā.era vo soch kā maflūj kar gayā
thī āqibat kī ḳhāmushī tanhā.iyoñ kī chīḳh
duniyā ye kah rahī thī mirā vaqt mar gayā
jo shahr-e-dard meñ thā ghanī chhāñv kā shajar
kuchh dhuup thī kaḌī ki ḳhalā meñ utar gayā
kyā lutf-e-tishnagī thā mujhe kuchh ḳhabar nahīñ
kitne samundaroñ se maiñ pyāsā guzar gayā
kar ke jo barahna mujhe ġhairoñ kī bhiiḌ meñ
vo merā dard-e-zindagī jaane kidhar gayā
ye ajnabī se log ye anjān sā jahāñ
apne vajūd se hī maiñ shāyad guzar gayā
Top Urdushayar.com