chāñd to khil uThā sitāroñ meñ
ham sulagte rahe sharāroñ meñ
dil-e-vahshat-zada kā haal na pūchh
phuul murjhā ga.e bahāroñ meñ
āñsuoñ ke charāġh raushan haiñ
dekh phir terī rahguzāroñ meñ
kā.enāt aur bhī nikhar jaa.e
rañg bhar do agar nazāroñ meñ
phuul khilte haiñ har baras un par
dafn hai kaun in mazāroñ meñ
mere saare ḳhulūs kī daulat
baañT do jā ke ġham ke māroñ meñ
maiñ to raahī huuñ terī manzil kā
aur tū gum hai chāñd-tāroñ meñ