mohabbat kyā salīb-e-zindagī hai
dil-e-rusvā kā hāsil ḳhud-kushī hai
ḳhud apnī ḳhvāhishoñ ke āstāñ par
pareshāñ-hāl kitnā aadmī hai
shab-e-dair-o-haram se mai-kade tak
mire hī āñsuoñ kī raushnī hai
pilā.ī umr-bhar saaqī ne lekin
mirī qismat meñ ab tak tishnagī hai
ham apne aap ke qātil bane haiñ
ye kis tahzīb kī jādūgarī hai
suno āvāz tum mere lahū kī
yahī to raaz husn-e-shā.irī hai
ḳhafā hai in dinoñ 'rāhī' se manzil
agarche ḳhuub terī rahbarī hai