jīvan kī bagiyā se ham ko kyā sundar sauġhāt milī
phūloñ kā sehrā bāñdhā to sho.aloñ kī bārāt milī
chāñd bhaTaktā dekhā sab ne mere shahr kī galiyoñ meñ
tanhā.ī kā bhes badal kar yaad tirī jis raat milī
ham bhī kitne ḳhush-qismat haiñ hameñ tumhāre āñgan se
sūraj kī ḳhairāt milī to kaalī raat bhī saath milī
us ko koī khel kaheñ yā qismat kā andher kaheñ
jis ne saarī duniyā jiitī us ko pyaar meñ maat milī
raahe tere sheroñ meñ hai lams kuñvāre jismoñ kā
patjhaḌ meñ bhī tujh ko kachchī kaliyoñ kī sauġhāt milī