kaliyoñ meñ tāzgī hai na ḳhushbū gulāb meñ
pahlī sī raushnī kahāñ jām-e-sharāb meñ
pūchho na mujh se ishq-o-mohabbat ke silsile
lazzat sī mil rahī hai mujhe har azaab meñ
ye raaz jāntī na thī tāroñ kī raushnī
kitnā hasīn chāñd chhupā thā naqāb meñ
do kāñpte larazte laboñ kī navāzisheñ
lahrā ke Dhal ga.iiñ mire jām-e-sharāb meñ
ham haiñ gunāhgār magar is qadar nahīñ
jitne gunāh aa.e haiñ apne hisāb meñ
likkhī ga.ī jo mere hī ḳhvāboñ ke ḳhuun se
raahī mirā hī naam nahīñ us kitāb meñ