Taashshuq Lakhnavi

munh jo furqat mein zard rahta hai

Taashshuq Lakhnavi

1824-1892
muñh jo furqat meñ zard rahtā hai
kuchh kaleje meñ dard rahtā hai
thī kabhī rashk-e-mahr ke āshiq
dhuup kā rañg zard rahtā hai
kis ke sunte ho raat ko naale
kahte ho sar meñ dard rahtā hai
kabhī pūchhā na mere kūche meñ
kaun sahrā-navard rahtā hai
shor hai zard aa.ī hai āñdhī
kyā mirā rañg zard rahtā hai
yaad aatī haiñ garmiyāñ terī
dil hamārā bhī sard rahtā hai
kahte ho tujh ko dekhte haiñ ham
banda sahrā-navard rahtā hai
jis taraf baiThte the vasl meñ aap
usī pahlū meñ dard rahtā hai
kahte haiñ dil kī choT kā hai fasād
muñh 'ta.ashshūq' jo zard rahtā hai
Top Urdushayar.com