Taashshuq Lakhnavi

dil jal ke rah gae zaqan-e-rashk-e-mah par

Taashshuq Lakhnavi

1824-1892
dil jal ke rah ga.e zaqan-e-rashk-e-māh par
is qāfila ko pyaas ne maarā hai chaah par
gesū ko naaz hai dil-e-raushan kī chaah par
parvāna ye charāġh hai mār-e-siyāh par
niiñd uḌ ga.ī girāñ hai ye shab rashk-e-māh par
bijlī na kyuuñ falak se gire merī aah par
hai yaad ḳhuftgān-e-zamīñ kā jo ḳhatt-e-sabz
bhūle se maiñ qadam nahīñ rakhtā giyāh par
luTtā hai ḳhāna-e-dil-e-āshiq bachā.iye
bigḌī huī hai fauj-e-mizha kis gunāh par
tāsīr kā hai ḳhauf unheñ ain shauq meñ
hai dil pe haath kaan haiñ āvāz-e-āh par
mahshar bapā hai band haiñ kushtoñ ke rāste
qad baaḌh par hai baaḌh hai teġh-e-nigāh par
kyā aadmī kī ḳhaak ko rauñdūñ maiñ rahm-dil
rotā hai pā.emāli-e-mardum-giyāh par
kahte ho kis ke qalb meñ uThtā hai shab ko dard
rotā hai dil mirā mire hāl-e-tabāh par
āḳhir talāsh-e-gor huī dil ko ishq meñ
barsoñ tabāh ho ke ab aayā hai raah par
dil ke muāmle meñ na ho daḳhl ġhair ko
lenā jo ho to lījiye apnī nigāh par
uupar kī saañs lene kā āzār ho gayā
jis kī nazar paḌī tirī tirchhī nigāh par
baḳhiya jarāhat-e-dil-e-nāzuk-mizāj kā
mauqūf hai huzūr ke tār-e-nigāh par
Top Urdushayar.com