Taashshuq Lakhnavi

do damon se hai faqat gor-e-ghariban aabaad

Taashshuq Lakhnavi

1824-1892
do damoñ se hai faqat gor-e-ġharībāñ ābād
tum hamesha raho ai hasrat-o-armāñ ābād
tujh se ai dard hai qasr-e-dil-e-vīrāñ ābād
kiyā sar-afrāz kiyā ḳhāna-vīrāñ ābād
jis jagah baiTh ke ro.e vo makāñ Duub ga.e
shahar hone nahīñ dete tire giryāñ ābād
qais-o-farhād ke dam se bhī ajab raunaq thī
kuchh dinoñ ḳhuub rahe koh-o-bayābāñ ābād
vahshat-e-dil ye baḌhī chhoḌ diye ghar sab ne
tum hue ḳhāna-nashīñ ho ga.iiñ galiyāñ ābād
āmad-e-qāfila-e-dard-o-alam hai sad-shukr
aaj hotī hai sarā-e-dil-e-vīrāñ ābād
miT ga.e dāġh-e-jigar husn-e-ruḳh-e-yār gayā
kal kī hai baat ki thā kyā ye gulistāñ ābād
tere dīvānoñ ke jis dasht se uTThe bistar
vahshiyoñ se na huā phir vo bayābāñ ābād
sūrat-e-sham.a huā ḳhāk-e-badan jal jal kar
ham ne turbat bhī na kī ai shab-e-hijrāñ ābād
sohbateñ ho ga.iiñ barbād gul-andāmoñ kī
ḳhaak uḌtī hai vahāñ the jo gulistāñ ābād
siina o dil meñ ḳhushī se na jagah thī ġham kī
ai 'ta.ashshuq' ye makāñ bhī the kabhī haañ ābād
Top Urdushayar.com