Taashshuq Lakhnavi

josh par thin sifat-e-abr-e-bahaari aankhen

Taashshuq Lakhnavi

1824-1892
josh par thiiñ sifat-e-abr-e-bahārī āñkheñ
ba ga.iiñ āñsuoñ ke saath hamārī āñkheñ
haiñ jilau meñ sifat-e-abr-e-bahārī āñkheñ
uThne detī haiñ kahāñ gard-e-savārī āñkheñ
kyuuñ asīrān-e-qafas kī taraf aanā chhoḌā
pher liiñ tū ne bhī ai bād-e-bahārī āñkheñ
sāmne aa ga.ī gul-gasht meñ nargis shāyad
palkoñ se chīñ-ba-jabīñ haiñ jo tumhārī āñkheñ
kyā durr-e-ashk se haiñ dāman-e-mizhgāñ mamlū
kab zabāñ hai ki kareñ shukr-guzārī āñkheñ
dekhte haiñ taraf-e-chāh-e-zaqan ulfat se
muft meñ ham ko Dubotī haiñ hamārī āñkheñ
shoḳhiyāñ āhuoñ kī zehn meñ kab aatī haiñ
kuchh dinoñ ham ne bhī dekhī thiiñ tumhārī āñkheñ
qatra-e-āb ko muhtāj kiyā gardūñ ne
yād-e-ayyām ki thiiñ chashma-e-jārī āñkheñ
duur se dekh ke tum ko koī jī bhartā hai
kar rahī haiñ faqat ayyām-guzārī āñkheñ
abr ko dekh ke har martaba josh aatā hai
ab to aa.iiñ haiñ mire zabt se aarī āñkheñ
jab haTā aa.ina aage se huiiñ kyā bechain
apne par aap hī āshiq haiñ tumhārī āñkheñ
lutf dekhā na kisī chiiz kā ashkoñ ke sivā
aa.iiñ thiiñ rone ko duniyā meñ hamārī āñkheñ
kahtī hai bhar ke dam-e-sard ḳhizāñ meñ bulbul
DhūñDhtī haiñ tujhe ai fasl-e-bahārī āñkheñ
tum ko sharm aatī hai ham qābil-e-nazzāra nahīñ
na rahā husn tumhārā na hamārī āñkheñ
kyuuñ charāgāh-e-ġhazālāñ na kahūñ palkoñ ko
phir rahī haiñ merī nazroñ meñ tumhārī āñkheñ
ro.uuñ kis vāste gar sāmne aanā chhoḌā
aap ko husn hai pyārā mujhe pyārī āñkheñ
kor ho jā.ūñ magar ishq meñ rone ko na rok
nāsehā dil se ziyāda nahīñ pyārī āñkheñ
saikḌoñ shīsha-e-dil bāda-kashoñ ke toḌe
mohtasib se haiñ ziyāda vo ḳhumārī āñkheñ
phuul nargis ke gire shāḳh se Daalī jo nazar
terī āñkhoñ kī itā.at meñ haiñ saarī āñkheñ
farsh ho jaatī haiñ tum paañv jahāñ rakhte ho
adab-āmoz-e-mohabbat haiñ hamārī āñkheñ
ba.ad muddat ke zarā hosh meñ aayā huuñ aaj
phir dikhā de mujhe saaqī vo ḳhumārī āñkheñ
ashk-e-ḳhūnīñ se asīrī meñ uThā lutf-e-bahār
hai qafas rashk-e-chaman abar-e-bahārī āñkheñ
kyā kareñ bazm-e-hasīnāñ meñ 'ta.ashushuq' jā kar
na rahīñ qābil-e-nazzāra hamārī āñkheñ
Top Urdushayar.com