Taashshuq Lakhnavi

uns hai KHana-e-sayyaad se gulshan kaisa

Taashshuq Lakhnavi

1824-1892
uns hai ḳhāna-e-sayyād se gulshan kaisā
nāz-parvard-e-qafas huuñ maiñ nasheman kaisā
ham vo uryāñ haiñ ki vāqif nahīñ ai josh-e-junūñ
naam kis shai kā garebān hai dāman kaisā
apnī āzurda-dilī ba.ad-e-fanā kaam aa.ī
Dher yahāñ gard-e-kudūrat ke haiñ madfan kaisā
kah diyā bas ki tirī aah meñ tāsīr nahīñ
ye na dekhā ki ye siina meñ hai rauzan kaisā
chhuT ke us phuul se barbād paḌe phirte haiñ
ham to ab tā.ir-e-nighat haiñ nasheman kaisā
dil use de ke chale mulk-e-adam ko be-ḳhauf
maal rakhte nahīñ andesha-e-rahzan kaisā
dil-e-betāb kī hai sīna-e-sozāñ meñ sadā
asl paara kī hai kyā dāna-e-gulḳhan kaisā
thā kabhī daur-e-asīrān-e-qafas ai sayyād
ab to ik phuul kī muhtāj haiñ gulshan kaisā
chaar din meñ ye zamāna bhī guzar jā.egā
abhī ro.eñge javānī ko laḌakpan kaisā
saḳht-jāñ haiñ tirī talvār se kyā ḳhauf hameñ
saḳhtī-e-marg se dabte nahīñ aahan kaisā
jal ga.e sūrat-e-parvāna tab ishq se ham
pheñk de laash uThā kar koī madfan kaisā
ek din ablaq-e-ayyām karegā pāmāl
mujh se rah rah ke bigaḌtā hai ye tausan kaisā
ishq se kaam na thā husn kī parvā bhī na thī
yaad aatā hai javānī meñ laḌakpan kaisā
khelte ho dil-e-betāb se phūloñ kī tarah
aur hotā hai mirī jaan laḌakpan kaisā
sham.a se aap ke sozāñ ye sunā karte haiñ
koī muhtāj-e-kafan bhī na ho madfan kaisā
chāhtā huuñ koī dekhe na terī teġh ke zaḳhm
chashm-e-jarrāh hai kyā dīda-e-sozan kaisā
naqsh-e-pā haiñ havas-e-nām-o-nishāñ ḳhaak nahīñ
ham to uThne ke liye baiThe haiñ maskan kaisā
āñdhiyāñ garm jo chaltī haiñ mirī aahoñ se
muñh chhupātā hai charāġh-e-tah-e-dāman kaisā
siina apnā hai hamārā dil-e-sozāñ apnā
sham-e-fānūs o charāġh-e-tah-e-dāman kaisā
duur jab se sifat-e-barg-e-ḳhizāñ-dīda hai
yaad aatā hai shab-o-roz vo gulshan kaisā
Top Urdushayar.com