Taashshuq Lakhnavi

kab apni KHushi se wo aae hue hain

Taashshuq Lakhnavi

1824-1892
kab apnī ḳhushī se vo aa.e hue haiñ
mire jazb-e-dil ke bulā.e hue haiñ
kajī par jo aflāk aa.e hue haiñ
un āñkhoñ ke shāyad sikhā.e hue haiñ
kabhī to shahīdoñ kī qabroñ pe aao
ye sab ghar tumhāre basā.e hue haiñ
kiyā hai jo kuchh zikr mujh dil-jale kā
pasīne meñ bilkul nahā.e hue haiñ
zarā phuul se paañv maile na hoñge
tum aao ham āñkheñ bichhā.e hue haiñ
kahīñ ḳhaak bhī ab na baiThegī apnī
ki un kī galī se uThā.e hue haiñ
giregā zamīñ pe na ḳhūn-e-shahīdāñ
abas aap dāman uThā.e hue haiñ
faqat paas hai un ke tīr-e-nigah kā
jo siine se dil ko lagā.e hue haiñ
janāza mirā dosto kal uThānā
ki vo aaj mehñdī lagā.e hue haiñ
unheñ paas hai dil hamārā muqarrar
vahī ham se āñkheñ churā.e hue haiñ
jo hai ghar ke andar vahī ghar ke bāhar
vo āñkhoñ meñ dil meñ samā.e hue haiñ
mere ba.ad jaane ke utreñge kyūñ-kar
ye kapḌe jo mere pinhā.e hue haiñ
na ho sabza-rañgoñ meñ kyuuñ un kī shohrat
mire qatl par zahr khaa.e hue haiñ
mire ḳhat ke purze uḌaa.e unhoñ ne
kisī ke sikhā.e paḌhā.e hue haiñ
ḳhudā zulf se dil jigar ko bachā.e
baḌe pech meñ donoñ aa.e hue haiñ
taḌap kar shab-e-hijr meñ kyuuñ na ro.uuñ
chamaktī hī barq abr aa.e hue haiñ
'ta.ashshuq' vo jo chāheñ bāteñ sunā.eñ
sar-e-ijz ham to jhukā.e hue haiñ
Top Urdushayar.com