apnī farhat ke din ai yaar chale aate haiñ
kaifiyat par gul-e-ruḳhsār chale aate haiñ
paḌ ga.ī kyā nigah-e-mast tire saaqī kī
laḌkhaḌāte hue mai-ḳhvār chale aate haiñ
yaad kiiñ nashsha meñ Duubī huī āñkheñ kis kī
ġhash tujhe ai dil-e-bīmār chale aate haiñ
raah meñ sāhib-e-iksīr khaḌe haiñ mushtāq
ḳhāksārān-e-dar-e-yār chale aate haiñ
baaġh meñ phuul hañse dete haiñ bedardī se
nāla-e-murġh-e-giraftār chale aate haiñ
dekh kar abru-e-ḳhamdār phire yuuñ āshiq
ġhul hai khaa.e hue talvār chale aate haiñ
jis tarah narġhe meñ chalte haiñ ġhazāl-e-sahrā
yuuñ tirī chashm ke bīmār chale aate haiñ
huuñ vo be-ḳhud ki ye hai nāla-e-sozāñ pe gumāñ
sho.ala-e-ātish-e-ruḳhsār chale aate haiñ
chāhiye shor-e-qayāmat pa.e-ta.azīm uTThe
aap ke āshiq-e-raftār chale aate haiñ
shor sunte haiñ jo ham chāk-garebānoñ kā
band khole sar-e-bāzār chale aate haiñ
har taraf hashr meñ jhankār hai zanjīroñ kī
un kī zulfoñ ke giraftār chale aate haiñ
chal ga.ī teġh-e-nigah aaj 'ta.ashshuq' pe zarūr
log us kūcha se ḳhūñ-bār chale aate haiñ