Taashshuq Lakhnavi

su-e-dayar KHanda-zan wo yar-e-jaani phir gaya

Taashshuq Lakhnavi

1824-1892
sū-e-dariyā ḳhanda-zan vo yār-e-jānī phir gayā
motiyoñ kī aabrū par aaj paanī phir gayā
sūiyāñ sī kuchh dil-e-vahshī meñ phir chubhne lagīñ
Thiik hone ko libās-e-arġhavānī phir gayā
hathkaḌī bhārī hai mere haath kī aaj ai junūñ
dast-e-jānāñ kā kahīñ chhallā nishānī phir gayā
zor paidā kar ki pahuñche jeb tak dast-e-junūñ
ab to mausam ai vafūr-e-nā-tavānī phir gayā
sarfroshān-e-mohabbat se na hogī aañkh chaar
muñh jo us kī teġh kā ai saḳht-jānī phir gayā
kahte ho ham aaj mulk-e-husn ke haiñ bādshāh
kyā humā bālā-e-sar ai yār-e-jānī phir gayā
kyuuñ kabūtar ke evaz hudhud na laayā ḳhatt-e-shauq
is ḳhatā par mujh se vo bilqīs-e-sānī phir gayā
bosa kaisā ik lab-e-shīrīñ se gaalī bhī na dī
aaj phir ummīd-vār-e-mehrbānī phir gayā
ai za.īfī saaya sar par se gayā dhuup aa ga.ī
fasl badlī āftāb-e-zindagānī phir gayā
gir paḌe aañsū urūj-e-māh-e-kāmil dekh kar
mirī nazroñ meñ tirā ahd-e-javānī phir gayā
Top Urdushayar.com