Taashshuq Lakhnavi

yaad-e-ayyam ki ham-rutba-e-rizwan hum the

Taashshuq Lakhnavi

1824-1892

yād-e-ayyām ki ham-rutba-e-rizvāñ ham the

bāġhbān-e-chaman-e-mahfil-e-jānāñ ham the

qābil-e-qatl na ai lashkar-e-mizhgāñ ham the

dil ujḌī huī bastī ke nigahbāñ ham the

dhajjiyāñ jeb hāthoñ meñ haiñ aaj ai vahshat

jāma-zeboñ se kabhī dast-o-garebāñ ham the

jaan gesūoñ ne ulfat-e-ruḳh meñ āḳhir

kāfiroñ ne hameñ maarā ki musalmāñ ham the

ġhair ke ghar taraf ke jo uThe the parde

itr bāloñ meñ vo malte the pareshāñ ham the

qafas-e-tañg meñ ghuT ghuT ke na marte kyūñ-kar

nāz-parvarda-e-āġhosh-e-gulistāñ ham the

ruuh taḌpī hai pa-e-lāla-e-sahrā kyā kyā

fasl-e-gul josh pe thī qaidi-e-zindāñ ham the

dil ke dene meñ ta.ammul hameñ hotā kyūñ-kar

ye hasīnoñ amānat thī nigahbāñ ham the

aaj thī shab ko bahut dāġh-e-jigar meñ sozish

kahtī thī un malāhat namak-afshāñ ham the

sho.ala-e-husn se thā dūd-e-dil apnā avval

aag duniyā meñ na aa.ī thī ki sozāñ ham the

har taraf dahr meñ thā zulf zanjīr gul

magar ai josh-e-junūñ silsila-jumbāñ ham the

qāfile raat ko aate the udhar jaan ke aag

dasht-e-ġhurbat meñ jidhar ai dil-e-sozāñ ham the

kahte haiñ āriz-e-mahbūb ki thī raat jo garm

chāñd par os paḌī thī araq-afshāñ ham the

tauq minnat ke gale meñ the vo din yaad karo

tum par us ahd meñ bhī chāk-garebāñ ham the

dete phirte the hasīnoñ galī meñ āvāz

kabhī ā.īna-farosh-e-dil-e-hairāñ ham the

Duub jaate haiñ jo rah rah ke 'ta.ashshuq' taare

misl-e-abr āḳhir-e-shab vasl meñ giryāñ ham the

Top Urdushayar.com